Thursday, September 01, 2005

Kabhi Kabhi by Sahir Ludhianavi

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai

ke zindagi teri zulfon ki narm chaon mein

guzarne pati to SHADAB ho bhi sakti thi

ye TIRAGI jo mere ZIST ka muqaddar hai

teri nazar ki SHUAON mein kho bhi sakti thi

ajab na tha ke main BEGANA-ILM hokar

tere JAMAL ki RANAION mein kho rahta

tera GADAZ badan teri NEEM BAAZ aankhen

inheen haseen FAZAOON mein main hoh rahta

pukarteen mujhe jab TALKHIYAN zamane ki

tere labon se HALAWAT ke ghoont pe leta

HAYAT cheekhti phirti BAREHNA-SAR aur mein

GHANERI zulfon ke saaye mein chup ke jee leta

magar yeh ho na saka,

magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai

ke tu nahin tera gham teri JUSTJOO bhi nahin

guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise

ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin

zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale

guzar raha hoon kuch anjani RAHGUZARON se

MUHIB SAAYE meri SIMAT bharte aate hain

HAYAT-O-MOUT ke PUR-HAUL KHAR-ZARON se

na koi JADAH na manzil na roshni ka suragh

bhatak rahi hai KHALON mein zindagi meri

inheen KHALON mein rah jaaonga kabhi kho kar

main jaanta hoon meri HUMNAFAS magar yunhi

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai'




Translated Version :


kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai // sometimes my heart has this thought

ke zindagi teri zulfon ki narm chaon mein // that Life in the shaeds of your hair (nothing much till here)

guzarne pati to SHADAB ho bhi sakti thi // if spent thus could have been FRESH/DELIGHTFUL

ye TIRAGI jo mere ZIST ka muqaddar hai //or could have been OLD/DARK as is the wont of my LIFE

teri nazar ki SHUAON mein kho bhi sakti thi // or could be lost in the LIGHT of eyes



ajab na tha ke main BEGANA-ILM hokar //it was quite strange coz it is known that I am an alien (when it comes to such things like love or whatever)

tere JAMAL ki RANAION mein kho rahta // would be lost in the ELEGANCE OF your BEAUTY

tera GADAZ badan teri NEEM BAAZ aankhen // your SOFT(not sure of the meaning) body n ur EYES HALF-LIKE A HAWK

inheen haseen FAZAOON mein main hoh rahta // would have lived in the the haseen (english equvalent anybody) ENVIRONS


pukarteen mujhe jab TALKHIYAN zamane ki // when the bitterness of the world would send me a summon

tere labon se HALAWAT ke ghoont pe leta // would have drunk a sip off your SWEETNESS

HAYAT cheekhti phirti BAREHNA-SAR aur mein // EXISTENCE/LIFE would scream PULL-OUT YOUR HEAD but me

GHANERI zulfon ke saaye mein chup ke jee leta // would have lived my live in the shades of your THICK hair..(so unromantic)


magar yeh ho na saka, //but this did not happen

magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai //but this did not happen and now the situation is thus

ke tu nahin tera gham teri JUSTJOO bhi nahin // you are not there..nor is the sorrow (of your loss) nor your DESIRE

guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise // life moves on in a way like

ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin // which does not have the desire of a support.


zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale // have seen/been thru all pains of the world

guzar raha hoon kuch anjani RAHGUZARON se // am walking thru unknown STREETS/ROADS

MUHIB SAAYE meri SIMAT bharte aate hain // DREADFUL SHADOWS try to ACCUMULATE around me (this is not so obvious, my understanding)

HAYAT-O-MOUT ke PUR-HAUL KHAR-ZARON se // WISHES THAT MY LIFE BE FULL OF THORNS/PAINS

na koi JADAH na manzil na roshni ka suragh // I am neither BLOCKED,nor have any destination nor therez a guiding light

bhatak rahi hai KHALON mein zindagi meri // myy life is wandering in EMPTINESS

inheen KHALON mein rah jaaonga kabhi kho kar // will be lost in these EMPTINESS(ES) someday

main jaanta hoon meri HUMNAFAS magar yunhi // i know this, but O-my-FRIEND..still

kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home